Namaskar mera naam hai Nikita main aaj aapko Meri Kahani batane ja rahi hun mere Sath Jo bachpan Se hua hai vah Kisi aur ke Sath bhi pahle hua hoga main khud sharminda Hun ki mere Papa jinhone mujhe itna Bada Kiya aur mere sath aisa vyavhar Kiya Ham chhindwara rambagh mein rahti hun Meri pita ka naam main Nahin Bata sakti Ham char bahan hai aur hamara Ek bhai hai jo sabse chhota hai jo hamare Charon ke bad hua hai Ham ladkiyan Hain to Kya hamari galti hai ki Ham ladke paida Nahin hue Ham ladki hai to Kya hamen bhedbhav hamare Sath karna jaruri hai ya hamen khulkar jeene ki azadi Nahin hai Kya Ham ladki hai to Ham kuchh kar Nahin sakte man baap ke liye ya ladka hi kar sakta hai Ham char bahan hamari sabse Badi didi nauvin mein do bar fail ho chuki thi kyunki hamare ghar mein paristhiti aisi thi ki hamare ghar mein sirf Papa hi kamate the aur ham log imali fodhne jaate the didi din bhar kam karti thi humko dekhna Ham छोटे-छोटे the to humko dekhti Thi didi ne hamara bahut Sath Diya lekin papa hamare didi ko kahin jaane Nahin dete the bahar nikalne Nahin dete the na kahin kuchh hamen dila de aisa bhi nahin tha Ham imali fod kar khud ka kharcha uthate the hamara bhai rone lagta tha to Ham Charon bahanon ko maar khana padta tha usmein hamari kya galti vo rota tha to hamari second didi Jo ma padh rahi thi vah unhone apna kharcha khud uthaya khud padhi likhi khud ne apne matlab jitna bhi pada khud ke Liye pada per hamare Papa ne kabhi humko hosla nahin diya ki beta Tum padh Rahe ho to Ham itne paise de de per Meri second didi khud college ki fees vagaira sab sambhal kar rakhti thi ki usko Aage kam karna Aage paise lagenge hamare ghar ke Baju mein Ek Dadi rahti hai vah ek din kapde faad Rahi Thi to Meri second didi ne unse kaha ki aap kapde kyon faad rahe ho aap mujhe de do hamare ghar mein hamare pass kapde Nahin hai to vah Dadi bolati hai ki tumhare papa to kabaade ka kam karte Hain tumhare pass to kapde honge to didi bolati hai main jid karungi to meri teenon bahanon ka Kya Hoga papa to unko Bina dilaenge na mere ko Bina dilaenge isliye aap yah kapde mat fado aur hamen de do Meri bahan second didi aap so sakte ho ki dusre ko dusre ke kapde tak humne pahne Hain hamen to khud yah lagta hai ki humne paida hokar hi bahut bada paap kiya hai kya Ham ladki hai to hamen jeene ka kuchh matlab Nahin hai hamara Meri second didi ko jitni bhi fees admission fees lagti Thi vah sab didi karti thi per papa hamari koi help Nahin karte The Meri teesri didi bhi college jaati thi Jo first year Se khud khud ke paison se padh rahi thi hamare papa humko 50-50 ke kapde dilate the unko Fark Nahin padta tha ki Ham kaise kapde pahan Rahe Hain Ham kaise rah Rahe Hain Ham Kya soch rahe hain humne khana khaya ya nahin khaya vah hamen dant dete the to Ham khana Nahin khate the per vah humko Ek bar bhi nahin kahate the ki beta khana kha lo per humse Kisi Se na Ham Charon bahanon se unko koi matlab tha kya Ham ladki hai to hamen jeene ka Matlab Nahin hai hamara aur baat I ab Meri mera naam Nikita hai main aap sabhi ko ek ek baat bataun Ham Charon bahan aur mera bhai ek din Ham khel rahe the ludo to Ham Charon bahan Jeet Gaye per Mera Bhai har Gaya uske bad kya hua vah batane se bhi mujhe dar lagta hai
