Cherreads

Chapter 1 - RISE OF THE SILENT HEIR. ( PART 1)

Raat ke sannate ko chirti hui bijali ki gadgdahat Singhania mention ki diwaron se takra rahi thi Shahar ke sabse pass ilake mein sthit yah haveli Aaj Kisi Dulhan ki tarah Saji hui thi Bahar musladhar barish ho rahi thi Manav Aasman bhi aaj kisi ke Naseeb per ro Raha ho haveli ke bade se gate per sunhare aksharon mein likha tha Singhania nivas lekin andar Rahane wale logon ke Dil UN aksharon ki tarah sunhare nahin the haveli ke andar jasn ka mahaul tha Ananya Singhania Jo is Shahar ki Sabse Badi business tycoon ki Beti thi uska janmdin tha बड़े-बड़े neta businessman aur Mafia sargana vahan maujud the mahangi wine ke gilas takra rahe the aur thahako ki gunj hall mein chhai thi lekin is Chaka Chond Se dur haveli ke pichhle gate per ek naujawan ghutnon ke bal kichad mein baitha tha vah Aryan tha uska safed kurta barish aur kichad mein Sun chuka tha uske Bal bikhre hue the aur uski aankhon mein ek aisi gehri udaasi thi Jo Kisi ka bhi Dil Tod De Aryan Tum yahan kya kar rahe ho ek teekhi aur nafrat Bhari awaaz gunji Aryan ne sir utha Kar dekha vah Kavya Thi Ananya ki badi bahan Aa Kavya Ne hath mein chhata Le Rakha tha aur vah Aryan ko aise dekh rahi thi Jaise vah koi ganda nali ka kida Ho Kavya didi ...vah Maa ki tabiyat bahut kharab hai doctor ne kaha hai ki agar Aaj Raat injection nahin Laga to vah subah nahin dekh payengi mujhe bus.....

Aryan ki awaaz barish ke shor mein dab rahi thi

Kavya jor se Hansi Man ki tabiyat are vah budhiya abhi Tak Mari nahin aur Tum.., Tum yahan bheekh mangne Aaye Ho Shayad hai na Ananya ki shaadi ke waqt Papa Ne Kya kaha tha tum sirf ek paaltu janwar Bankar is ghar mein rahoge aur paaltu Janwar kabhi paise nahin mangte sirf wafadari dikhate Hain

Didi..main umra Bhar gulami karunga. Bus Aaj madad kar dijiye Aryan ne Kavya ke sandal pakdane ki koshish ki Kavya Ne nafrat Se apna pair piche khinch liya gande hath dur hatao aur suno mehmanon ki gadiyan bahar khadi Hai un per mitti jam gai hai jao aur jab tak ek ek gadi chamakne Na Lage tab tak andar kadam mat rakhna agar tumne ek bhi gadi gandi chhori to yad rakhna tumhari Maa ka ilaaj to dur tumhen is Ghar ki chhat bhi Naseeb nahin hogi

Aryan Khamosh Raha uski muthiya bheech gai nakhun hatheliyon mein gadh Gaye usne apni aankhon Se girti aansuon ko barish ke Pani mein chhupa liya vah chupchap utha aur hathon mein ek purana kapda lekar gadiyon ki taraf badh gaya vah 11 karke karodo ki gadiyon ko pahunchne laga uske hath thand se kam rahe the tabhi haveli ka mukhya darvaja khula aur Ananya Bahar nikali uske sath uska dost Vikram bhi tha Vikram ek rahis aur ghamandi ladka tha Jo hamesha se Ananya per najar rakhta tha

Oh Dekho Shahar ka sabse Amir Ghar Jamai Aaj Dhobi banaa hua Hai Vikram Ne jor se thahaka lagaya Ananya ne ruk kar Aryan ki taraf dekha uski Neeli aankhon mein Aryan ke liye Rati Bhar bhi pyar nahin tha usne Aryan ke pass Aakar apna kichad se Sana juta uske samne Kar Diya

Aryan sandal per kichad lag Gaya Hai ise saaf karo Ananya ne sapat awaaz mein kaha Aryan jam Gaya Ananya... Aaj tumhara janmdin Hai kam se kam aaj to Mera apman mat karo Maa aspataal mein maut Se lad rahi hai tumhari Maa0 ki bimari Mera sir Dard nahin Hai Aryan.

Ananya Ne thande Pan Se kaha

Agar Tum Mera juta saaf nahin kar sakte to tumhe is ghar mein Rahane ka koi hak nahin Hai papa se kahkar cal hi tumhen Bahar nikalwa dungi

Vikram ne apni Jeb se ek secret nikaali aur uska dhuan Aryan ke munh per chhodate hue kaha

Chhodo na Ananya yah bhikhari kya saaf Karega yah lo ₹500 ise iske munh per Maro Shayad iski Maa ki dava a jaaye

Vikram Ne note hawa mein Uda diya jo sidha kichad mein Ja gira Aryan ne use note ki taraf dekha vah note uski Maa ki Jaan bacha sakta tha vah dhire se jhuka aur Jaise hi usne note uthane ke liye hath badhaya Vikram Ne apna pair Aryan ke hath per Rakh Diya

Are sorry bhai mujhe laga yahan Koi kachra pada hai Vikram aur Ananya donon hansne Lage

Use pal Aryan ke andar kuchh Tut Gaya vah apman Jo vah 2 sal se sah raha tha aaj uski Seema paar Kar Gaya Achanak uske sir ke andar ek bhayanak gunj uthi

Chetavni.. mejban ka mansik santulan khatre mein Hai..

Pratishodh ka star 100%

Prachin shunya Marshal system sakriya.. activate..

Rakt ki shuddhta ki jaanch ho rahi hai

Aryan ko laga ki uske sharir ke andar hajaron jalte hue koyle Dal diye gaye ho uska sharir tharthrane Laga uski aankhon ke samne neele rang ke Akshar tairne Lage Jo sirf use dikh rahe the

System.. Malhotra vansh ke aakhiri varish kya tum Shakti chahte ho..

Aryan man hi man dahad Mari han mujhe Shakti chahie mujhe ine sabko mitti mein Milana hai

Achanak pure ilake ki bijali Gul Ho Gai Aasman Se ek Vishal bijali Giri transformer se takraai ek jordar dhamaka hua

Andheri mein argent ki Aankhen धीरे-धीरे khulne lagi lekin ab bhi Aankhen ek Insan ki nahin lag rahi thi Ve aankhon ke golo ke andar do jalte hue Lal angare dikh rahe the

Aryan khada hua uski read ki haddi Se kadkadane ki awaaz ai Jo hath thand se kamp rahe the ab pathar ki tarah sakht ho chuke the Vikram Ne ghabrakar apna pair piche khincha tu..tu.. mujhe aise kyon dekh raha hai pagal ho gaya hai kya

Aryan ek Shabd bhi nahin bola usne bus Vikram ki taraf apna hath badhaya hawa mein ek Ajeeb Si dabav paida hua Vikram co Laga Jaise Kisi Ne uska Gala pakad liya Ho vah hawa mein ek foot upar uth Gaya

Bachao Ananya yah kya kar raha hai Vikram ki awaaz dabne lagi uska chehra Neela padane Laga Ananya ki chik nikal Gai Aryan chhodo use tum tum yah kaise kar rahe ho Aryan ne apni gardan dhire se ghumai aur Ananya ki taraf dekha uski awaaz ab Kisi Insan ki nahin balki ek gehri gufa se aate hue gunj Jaisi thi

Do sal Ananya 2 sal Tak Maine tumhari nafrat Ko pyar samjha lekin Aaj tumne Meri Maa ka apman kiya hai ab is Ghar mein jasn nahin sirf matam hoga

Aryan ne hath Ko jhatak Diya aur Vikram Kisi fate hue kapde ki tarah 20 feat dur jakar ek Deewar se takraya Deewar mein darare pad Gai aur Vikram vahin behosh Ho Gaya tabhi haveli ke andar Se Sumitra Singhania yani Aryan ki SAS aur darjanon guards Bahar bhage kya hua yah dhamaka Kaisa tha guards is kutte ko pakado isane Vikram ji per hath uthaya Hai guards lathiyan lekar Aryan ki taraf lapke Aryan apni jagah se hila nahin Jaise hi pahla guard uske Kareeb pahuncha Aryan ki Aankho se ek Lal Roshani nikali

System.. gravity field activate...

Agale hi pal sare guards jameen per aunthe moh gir pade unhen Aisa Laga Jaise unke sharir per Kisi Ne 1000 kg ka vajan Rakh Diya Ho vah hil Tak nahin Pa rahe the Sumitra aur Kavya ke pairon tale jameen nikal Gai unhen samajh nahin a raha tha ki yah kya Jadu Hai

Aryan धीरे-धीरे Sumitra ki taraf badha uski har kadam ki Aahat jameen ko hila rahi thi maa ji aapane kaha tha na ki ek kutte ko 5 lakh nahin milte ab aap apni Puri jayja dekar bhi apni Jaan nahin bacha payenge

Aryan Ne apna hath uthaya hi tha ki tabhi haveli ki chhat per ek saya dikhai Diya vah Saya teji se niche khuda vah ek nakabposh aadami tha jiske hath mein ek prachin Talwar thi

Ruk jao chhote Malik nakaposh Ne chillakar kaha abhi aapki shaktiyan Puri tarah Se jagrit nahin hui hai agar aapane abhi aur istemal kiya to aapka sharir fat jaega

Aryan ruka... Usne use nakabposh ki taraf dekha aur bola... Tum kaun ho..

Nakabposh ghutnon ke ke bal baith Gaya main aapke pita ka wafadar sevak hun aapki man Ne mujhe aapki Raksha ke liye bheja tha lekin ab der ho chuki hai vah log a rahe hain..

Kaun log... Aryan ne poochha...

Tabhi Aasman mein hajaron Kali parchhaiyan dikhne lagi vah Koi parinde nahin the balki udate hue Insan the Jo Kale labade pahne hue The pura Shahar ek Ajeeb Si khaufnak awaaz se Bhar Gaya

System warning.. shadow hunter.. pahunch chuke hain mejban ka astar abhi bahut kam hai bhagana hi ekmatra vikalp hai

Aryan ne apni Man ki yad mein vah tabij mutthi mein bheech liya usne dekha ki Sumitra Kavya aur Ananya dar ke mare Thar Thar caap rahi thi vah chahta to unhen vahin khatm kar sakta tha per UN Kali parchhaiyon ka khatra bahut bada tha aaj Tum sabko main Jinda chhod raha hun Aryan ne Singhania Parivar ki taraf dekhkar kaha taki tum dekh Sako ki jis bhikhari ko tumne thokar Mari Thi vah kaise is duniya ka ant karta hai

Nakabposh ne ek dhuen wala Bam fenka aur Arjun ko lekar andhere mein gayab ho gaya

Dhuan hatte Hi Aryan khud Ko ek Shahar ki ek purani aur sunsan chhat per Paya uske pair ladkhada rahe the aur usse ultiyan hone Jaisi mahsus ho rahi thi vah nakabposh aadami uske samne khada tha per Aryan ne use dhakka de diya kaun kaun ho tum aur yah sab kya tha Aryan ki awaaz kaap rahi Thi vah bijali vah log vah hawa mein kaise ud rahe the aur mere hath mere hathon ko kya hua tha maine Vikram ko kaise.... Aryan ne apne hathon ko dekha Jo abhi bhi tharthra rahe the use yakin nahin ho raha tha ki jo tabahi abhi haveli mein Hui vah usne ki thi use dar lag raha tha ki kahin vah Koi rakshas to nahin ban gaya

Dhairya rakhiye Malik nakabposh ki awaaz mein Samman tha aapko kuchh nahin pata kyunki aapki maa Ne aapki yaddasht aur shaktiyon per pehra bithaya tha vah aapko is gandi duniya Se bachana chahti thi meri maa vah to aspataal mein Hai unhen paise chahie mujhe wapas Jana hoga Aryan pagalon ki tarah sidhiyon ki taraf bhaga per uski Jeb mein Rakha hua tabij abhi barf jaisa Thanda pad chuka tha Achanak Aryan ke dimag mein ek tasvir ubhari Thi ek aalishan Mahal khoon Se latpat ek Talwar aur ek aadami ki chikh vah dard se krah utha aur ghutnon ke bal gir Gaya use ehsas hua ki uski maa Ne use sirf Pala nahin tha balki usse kuchh bahut bada chhupaya tha niche sadak per police aur ambulance ke siren gunj rahe the Singhania haveli se dhuen ka gubar abhi bhi uth raha tha Aryan ne dhundh Li aankhon Se apni fati Hui hatheli Ko dekha Jahan ek Ajeeb Sa Nishan ubhar raha tha vah Ro pada

Maa aapane mujhe Kya banaa Diya Main to bus ek aam Insan rahana chahta tha per use kya pata tha ki raat abhi khatm nahin Hui Hai andhere mein khada hua nakabposh dhire se budbudaya khel to ab shuru hua Hai Malik kyunki aapane Aaj apni shaktiyan dikhai hai aur ab vah aapko dhundhte hue jarur aaenge

Agale part mein aap suniye... Kya hoga jab Aryan aspataal pahunchega aur apni Man ke bistar ke pass unnakabposhon ko khada payega kya Ananya apni kiye per pachtaegi ya Aryan ke liye nai musibat khadi hogi jaane ke liye padhte rahiye ..(SILENT WRATH)

More Chapters