Cherreads

Chapter 2 - Ishq-e-Haya Chapter -2

Agla din…

Haya subah jaldi uth gayi, lekin aaj uska dil ajeeb sa halka bhi tha… aur bhara hua bhi.

Usne namaz ke baad diary uthayi aur likha:

"Kuch log ajnabi hote hue bhi ajeeb se apne lagte hain… kya yeh sirf ek ehsaas hai ya kuch aur?"

Woh khud bhi nahi samajh pa rahi thi ke uske saath kya ho raha hai.

University mein…

Aliza pehle se hi gate par khadi uska intezaar kar rahi thi.

"Finally madam aa gayi!" usne drama karte hue kaha.

Haya halki si muskura di, "Sorry…"

Aliza ne usse dhyan se dekha,

"Hmmm… kuch toh baat hai. Tum aaj zyada chup ho."

"Main waise hi hoon…" Haya ne nazrein chura kar kaha.

Aliza hansi,

"Dekhte hain kab tak…"

Class start hone wali thi.

Haya aur Aliza lecture hall mein enter hui…

Aur Haya ka dil ek dum ruk gaya.

Sameer wahan already baitha hua tha.

Aaj woh pehle se zyada paas tha…

Zyada real.

Haya ne foran dusri taraf dekhna shuru kar diya aur chup chaap seat par baith gayi.

Professor aaye, lecture start hua…

Lekin Haya ka focus kahin aur tha.

Kabhi woh notebook dekhti, kabhi chupke se Sameer ki taraf.

Aur har baar jab uski nazar uthti…

Sameer already usse dekh raha hota.

Jaise woh samajh raha ho… bina kuch kahe.

Haya ne jaldi se nazar jhuka li.

Uska dil phir se tez dhadakne laga.

Lecture ke baad…

Aliza ne kaha,

"Chalo canteen chalte hain!"

Haya ne mana karna chaha, lekin Aliza ne uska haath pakad liya.

Canteen mein bohot rush tha.

Haya corner mein khadi thi jab achanak kisi ne peeche se awaaz di:

"Excuse me…"

Haya ne mud kar dekha…

Sameer.

Uska saans ek pal ke liye ruk gaya.

"Ji…?" uski awaaz bohot halki thi.

Sameer ne seedha uski aankhon mein dekhte hue kaha,

"Yeh aapka notebook hai… kal gir gaya tha."

Haya ne hairani se notebook li,

"Thank you…"

"Mention not."

Bas itni si baat…

Lekin dono kuch seconds tak chup khade rahe.

Jaise waqt phir se dheere ho gaya ho.

Door se Aliza sab dekh rahi thi.

Woh foran Haya ke paas aayi,

"Ohooo… yeh kya chal raha hai?"

Haya ghabra gayi,

"Kuch bhi nahi! Woh bas notebook—"

Aliza ne aankh dabayi,

"Haan haan, samajh gayi 😏"

Haya ne kuch nahi kaha… lekin uske gaalon par halka sa rang aa gaya.

Dusri taraf…

Sameer aur Faizan bhi canteen ke bahar khade the.

Faizan ne muskurate hue kaha,

"Bhai, notebook wapas karne mein itna time lagta hai kya?"

Sameer ne thoda sa socha… phir dheere se bola,

"Kuch cheezein jaldi nahi hoti…"

Faizan ne hans kar kaha,

"Lagta hai kahani interesting hone wali hai."

Usi waqt…

Ek aur ladki canteen mein enter hui — Sana Malik.

Stylish, confident, aur thodi si arrogant.

Uski nazar seedha Sameer par padi.

Woh seedha uske paas aayi,

"Hi Sameer… long time."

Sameer ka expression thoda change hua,

"Hmm… Sana."

Haya ne door se yeh sab dekha.

Uska dil halka sa bojhal ho gaya…

Woh khud nahi samajh paayi kyun.

Us raat…

Haya ne diary kholi aur likha:

"Agar kisi ko dekh kar dil khush ho… aur usi ko kisi aur ke saath dekh kar ajeeb sa dard ho… toh kya usse mohabbat kehte hain?"

Kahani abhi sirf shuru hui thi…

Aur ab isme naye rishte, naye imtehaan aur naye jazbaat aane wale the.

To Be Continued…

More Chapters