Cherreads

pyaj tamatar ki panipuri

Laxman_Parsad
7
chs / week
The average realized release rate over the past 30 days is 7 chs / week.
--
NOT RATINGS
164
Views
Synopsis
es kahani me ham ek panipuri wale ke bare me bata rahe hai
VIEW MORE

Chapter 1 - pyaj our tamatar ki chatpati panipuri

Mohan aaj aapane kamare me udas baitha tha usake chehare se saf lag raha tha ki vah bahut badi tention me hai tabhi vahan uski patni Shanti aati hai aur Mohan ke Bagal mein baith jaati Hain Mohan Ko itna udaas dekhkar Mohan se vah puchti hai Mohan ji kya hua aaj aap fir Khali hath aur munh latka ke baithe Hain aur pareshan lag rahe hain bataiye kya baat hai tab Mohan bolata hai kya bataun Shanti samajh nahin a Raha ki aakhir kya Karun Mera to dimag hi nahin kam kar raha hai dekho ab meri pani puri theek se nahin bik rahi hai Aaj aadha saman vaise ka vaise hi le aaya hun jab pani puri nahin bikega tab ghar ka kharcha kaise chalega ab aur Sabse badi baat ham Apne Kavita ki shaadi kaise karenge Tum to jante hi ho na ki ladki wale saf saf Dahej mangte Hain yahan hamara roj ka kam hi nahin chal raha hai to ham unhen lalchi logon Ko itna Sara Dahej kahan se lakar denge mujhe to Apne beti ki fikra khae ja rahi hai tab Shanti bolati hai a ji aap itna Dil per mat lijiye Kam hai kabhi Kam to kabhi jyada aap itne mein pareshan kyon hote hain upar wala hai na vah jo bhi karta hai acche ke liye Karta hai hamen yahan nahin manani chahie is tarah donon pati patni aapas mein baat kar rahe hote Hain ki tabhi unki beti Kavita aati hai vah kafi der se darvaje ke pass khadi hokar Apne Mata pita ki sari baten sun rahi thi use bura to lag raha hota hai to Apne Mata-pita Ko is tarah sath dekh kar tension mein baat karte dekh vah kahati hai man bilkul theek kah rahi hai aap bekar mein itna tension le rahe hain Bhagwan agar ek rasta band Karta hai to vah dusra rasta apne aap khol deta hai hamara kam achcha nahin chal Raha hai to kya hua hamare pass hunar to hai na ham salon se yahi kam kar rahe hain ab hamen kuchh naya sochana chahie tab Mohan kahta hai beta hunar se kya hoga bajar mein ab kalakar competition hai ab gali gali mein Pani puri wale ho gaye hain koi pudine ki Pani pilata hai to koi nimbu ki Pani pilata hai hamari vahi purani aalu wali pani puri koi ab koi nahin puchhta mujhe lagta hai mujhe ab yah kam chhodkar koi aur majduri khojne chahie tab Kavita kahati hai nahin pita ji kam chhodane ki koi jarurat nahin hai log ab vahi purane aalu wali pani puri khakar Bor ho gaye hain unhen ab kuchh nahin aur chatpati chahie Maine raat bhar jaga kar ek tarkeeb Suchi hai ham Apne pani puri mein aalu ke masale ki jagah pyaj tamatar ki chatpati chatni dalenge aur unka Naam ham rakhenge pyaj tamatar ki chatpati pani puri tab Kavita ki man Shanti Karti hai pyar tamatar ki chatni yah kaisi baat kar rahi hai beta humne Aaj Tak bus aalu aur chane ki chane wale hi sunni hai yah pyaj aur tamatar ka Mela logon Ko pasand aaega kya tab Kavita kahati hai man yahi to baat hai ham pani puri ekadam alag tarike se banaenge ham pyaj ko ekadam Barik katenge uske bad usmein rasile tamatar milaenge aur adrak ka pest aur uske bad mera ek khas masala dalenge log ise khatte pani ke sath khaenge to unhen swad aaega jo unhone pahle kabhi nahin khaya hoga aap bus mujhmein per bharosa rakho Mohan Ko kavita ki baton per kuchh ummid dikhai deti hai use lagta hai ki Shayad yah Tarika kam kar jaaye agale din subah Shanti aur Kavita rasoi mein taiyari suru kar deti hai kavita kuchh khada masala lekar use bhunti hai our shilvatte par pishti hai our pyaj tamatar ka ek jabardast misran taiyar karti hai tab dopahar me apni panipuri ka thela lekar bajar me jata hai our log uske thele par lage bord ko dekhte hai jispe likha hota hai pyaj tamatar ki chatpati panipuri our lag thele ke pas aana lagate hai vahi par ek college bhi tha college ke kuchh ladke bhi thele ka pass aaye our bole ye kaisi panipuri hai tab Mohan kahta ekbar khakar to dikheye ekdam chatpati panipuri hai tab college se aaye kuchh ladko me se ek ladka ek plet panipuri khata hai our kahata hai vah etana svadisht chapta panipuri Maine kabhi nhi khaya hai aapni jindagi me tab Mohan kahata hai ye meri deti ne banaya hai aaplog bhi khayiye tab sabhilog khane lagte hai our aaj mohan ka sari panipuri Beek jati hai yesa hi chalta rahata hai to bajar ke aas pas ke panipuri wale usase jalne lagte hai our Mohan ke pas aakar kahte hai ki ye jo tum kar rahe ho na thik nhi hai ye tumhara Kam jyada din nhi chalega tab Mohan kahta hai bhai Maine kya Kiya hai logo ko mere panipuri ka svad achcha lag raha hai to aa rahe hai mai unhe jabardasti to nhi bula raha hutab vo log kuchh nhi bolte hai our chale jate hai aage ki kahani ham kal batayenge