Kabhi kabhi purane message padhte hain,
aur dil chupchaap sa ho jaata hai.
Jo baatein kabhi hasi laati thi,
aaj wahi sab yaad dila jaata hai.
Ek waqt tha jab roz baat hoti thi,
har chhoti baat bhi share hoti thi.
Aur aaj wahi chat kholne par,
sirf khamoshi saath hoti hai.
Last seen bhi ab badal chuka hai,
aur rishta bhi kahin kho gaya.
Jo dost ya apne lagte the kabhi,
woh waqt ke saath door ho gaya.
Phone me toh sab message abhi bhi hain,
par baat karne wale badal gaye.
Jo kal tak dil ke kareeb the,
aaj woh bas yaadon me reh gaye.
Tab samajh aata hai dheere se,
ki waqt sab kuch badal deta hai.
Aur kuch rishton ko bas,
ek purani chat bana deta hai.
