Cherreads

Chapter 1 - Zindagi...har mod par rukh badalti h .

Zindagi ....kya khu m kya na khu .ek ajib si paheli h samjh jao to sab kuch hi aasan h na samjho to sab kuch hi impossible.Mne bhi zindagi ko har pal badlte dekha h .ek pal ki rou to dusre pal koi hassa de . chotti si thi m kuch h jyada mature nhi thi lekin zindagi ne bta Diya ki sab kuch sab par depend kr doge to kush nhi reh paoge . Shayd isliye hi har rishte se muh modd liya.

Khair choddo btati hu ek ladki ki khani ,jo zindagi ko le kar bilkul hi uljhan si gyii thi lekin ek shaks ne aake uske najriye ko badl diya. Kehte h ki age ek insan aapki zindagi swaar sakta h to ujaad bhi sakta h ,bss thi hua uske sath or vo shaks koi or nhi uska pyaar tha .....ab aap log sochoge ki Aisa kya hua hoga ki pyaar ne uske najriye ko badl diya . Kya usko zindagi se mohabbat ho gyi ya fer nafrat .ye to aapko khani padh kr hi pta chalega

Hua kuch yu hmari khani ki main lead hmari gudiya jab 10th mai study kr rhi thi to usko ek ladke se pyaar hua .. usko pta tha ki vo ladka bhi kahi n kahi usko chahta h pr uski himmat nhi hui apne dil ki baat kehne ki. Dheere dheere uska pyaar bdha . Time ke sath sath usko pta chla ki vo ladka girls ki respect hi Nhii krta .ya jan kr gudiya ko bahut bura lga ,usko afsos hua ki usne ek aise ladke se pyaar Kiya h jo ladkiyo ki respect hi Nhii krta. .Gudiya ne soch liya ki ab vo usko kabhi bhi nhi dekhegi ,jo bhi fellings h vo maar degi..lekin shayd zindagi ko ye manjur nhi tha . zindagi ne kuch or hi soch rakha tha.. jaha ek tarf gudiya us ladke se nafrat karna chahti thi vhi uska pyaar uske liye badh raha tha... Ek din aisa aaya jab ladke ne us se baat Krna start Kiya.. Bddi ajeeb si h ye prem kahani.. ladke ne ladki se baat krne ke liye ghr valo ki har shart maan li taki usko phone lake de diya jaye. Usko phone bhi mil gya baat krne ke liye.ab un dono ne baat karna shuru kiya.Roj sham ko koi 1-2 gnnte baat krte.yu baat krte krte ache doat bn gye . Ab time tha unke exams ka .un dono ke ganv aas pass ,rishtedari bhi thi isliye vo dono ek sath exam Dene jate or aate .

Exam mai hi ladke ka birthday aaya .us din hi usne gudiya ko propose kr diya .gudiya ne bhi bina soche haa kar di .ve dono khush the apne is naye rishte ko le kar lekin,lekin jaise aapko btaya ki zindagi har mod par rukh badalti h .yha bhi kuch Aisa hi hua .ye baat school Mai teachers ko pta chli fer parents ko Bulaya gya .Ladka dar gya tha usne himmat kar ladki ko btaya ki...ghr par pta chal gya h or Mera naam bhi school se cut kr diya or ab mughe hostel bhej rhe h ..ye sun ke ladki dar gyi .use dar ghr par pta chalne ka Nhii balki uske hostel Jane se tha.. vo ladka hostel chla gya ye baat gudiya ko uske dosto se pta chlii.vo bhut sad hui lekin vo kuch nhii kr skti thi .1-2 di baat nhi Hui fer us ladke ka message aàya Hello dear... M hostel se bha aaya ... Mera vha bilkul bhian Nhii lga ..or ab m ghr par hu.ye sun kar ladki bahut khush hoti h .lekin uske mn mai kahi na kahi dar tha ki agar uske Ghar par ye baat pata chal gyi to uske ghr waale us par ykin nhi karege ... uski study bnd ho jayegi....ya shayad uski marriage krva de.. in sab tention se upar thi us ladke ke vapis aane ki ... Ladke ne gudiya ko dilasa diya ki kuch bhi ho tumhe darna Nhii h , m tumhare sath hu .. ye baat sun kar gudiya ko himat mili. Kuch din baad school se call aai ,gudiya ke papa ko Bulaya gya .ye baat gudiya ko pta chli to vo dar gyii..usne saari baat ladke ko btai . Ladke ne gudiya ko samjhaya or kha m tumhare sath khadda hu tum darna mat. Sham ko jaise hi gudiya ke papa aate h to vo samjh jati h ki papa ko sab pata chal gya h. Usne phir bhi himat kar pucha ki kya hua papa .papa ne dheere se jwab diya .."kya tumhe pta nhi h ki kya hua h or kya Nhii". Ye baat gudiya ki maa ne suni to vo boli ki Aisa bhi kya keh diya school Mai ki aap itna gussa kr rhe ho. Uske papa bina kuch bole kamre mai chale gye.maa ne gudiya se pucha ki Aisa kya kr diya ki tere papa itna naraj h .Gudiya ne jwab diya aisa to kuch Nhii kiya ,mughe Nhii pta aap papa se puch lo ki kya hua h ....

Maa kamre mai jati h or puchti h ki kya hua ..jwab aaya kuch nhi, tum apni beti se pucho ,usne kya Kiya h . Maa ne gudiya ko awaj di... Oooo gudiya. ..gudiyaaa.. jra suno ..tum idhr aao kamre mai .kuch puchna h tumse. Gudiya samjh gyi ki kya baat hone wali h . Vo boli aa rhi hu maa ..Gudiya dheere kadmo se kamre mai aati h or boti h ,haa maa bolo kya hua.. maa boli , bta tune kya kiya h ,, maa ki aawaj mai gussa saaf dikh raha tha .. gudiya ne bola kuch Nhii maa. Papa bole ,school waale pagl h ,jo tera naam katne ki baat kr rhe h ...ye sun ke to gudiya ki maa ke gussa ka level or high ho gya .. vo gusse se boli ..katva di naak .. is din ke liye padhaya. Likhaya.. shii bol rhe the tere parivar waale ladkii h ,kya karoge ladki ko padha kar... Jana to dusre ghar h ..ye baat sun kar gudiya ke aankhon Mai Pani aa gya .. papa samjh gye the ki gudiya ko ye baat achi Nhii lagi, vo bole gudiya ki maa aisa mat bolo ,aisa bhii kuch nhi kiya h .tabhi gudiya ki maa boli ,fer school walo ne naam kyu kaat diya to .to jwab mila ki, kuch Nhii gudiya or ek or ladka exam centre sath aate jate the to school walo ko kuch galt laga ,bss isliye hi....ye sun kar maa ka gussa kuch Kam hua or gudiya ko himmat mili ki papa usko samjh rhe h ... Shyd is baar gudiya shii soch rhi thi ya uski galt fehmi thi ye...

Aap logo ko kya lagta h ,kya gudiya ke papa usko samjh rhe the ya Fer vo kuch or hi plan kr rhe the ... socho aap kya hua hoga ab gudiya ke sath .....aap agar is situation mai hote to kya krte??

More Chapters