Cherreads

Chapter 1 - uski chuppi part -3

Title: "Aakhri Baar… Par Is Baar Main"

Riya ne chat close kar di thi…

aur is baar sach mein usne peeche mudkar nahi dekha।

Din beetne lage…

ab uska routine badal chuka tha—

subah likhna,

din bhar khud par focus,

raat ko sukoon ki neend…

Aarav ke messages aana band ho gaye the…

shayad usne samajh liya tha—

ab Riya wapas nahi aayegi।

Ek din…

Riya ko ek event ke liye invite aaya—

"Young Writers Meet"

Usne kabhi socha bhi nahi tha

ki uski feelings… uska dard…

itna logon tak pahunch jayega।

Stage par jaane se pehle

uska dil thoda nervous tha…

par aankhon mein confidence tha।

Jaise hi uska naam announce hua—

"Riya chakrawarti…"

poori hall mein taaliyon ki awaaz gunj uthi 👏

Riya stage par aayi…

aur usne apni kahani sunani shuru ki—

"Kabhi kabhi hum kisi ki chuppi ko pyaar samajh lete hain…

par asal mein woh bas unka door jaana hota hai…"

Log chup ho kar sun rahe the…

har kisi ko apni kahani yaad aa rahi thi।

Speech ke baad…

jab Riya stage se neeche utar rahi thi—

tabhi uski nazar ek chehre par jaakar ruk gayi…

Aarav.

Woh wahi khada tha…

same aankhen…

par iss baar unmein pehle jaisa confidence nahi…

sirf pachtawa tha।

Riya ek second ke liye ruk gayi…

dil ne halka sa dhadakna tez kiya…

par phir usne khud ko sambhal liya।

Aarav dheere se uske paas aaya…

"Riya…"

Uska naam sunte hi purani yaadein flash hui…

par is baar woh toot kar nahi…

seedha khadi rahi।

"Tum… kaafi badal gayi ho…"

Riya halka sa muskuraayi—

"Haan… zarurat thi."

Kuch seconds ki khamoshi…

jo kabhi unke beech sab kuch thi…

aaj sirf ek ajeeb sa gap lag rahi thi।

Aarav ne himmat karke kaha—

"Maine tumhe har jagah dhoonda…

tumhari stories padhi…

har line mein main tha… na?"

Riya ne seedha jawab diya—

"Tha… par ab nahi ho."

Yeh sunte hi Aarav ki aankhon mein aansu aa gaye…

"Ek chance bhi nahi?"

Riya ne uski taraf dekha…

bilkul shanti se—

"Chance unhe milta hai

jo galti se door jaate hain…

tum toh bina bataye chhod gaye the."

Aarav chup ho gaya…

kyunki iss baar sach uske paas bhi nahi tha।

Riya ne apni diary uske haath mein di…

"Isme sab likha hai…

mera dard, meri raaten, mera intezaar…"

Aarav ne diary pakdi… haath kaamp rahe the…

"Aur last page zarur padhna…"

Riya wahan se chal di…

is baar bina rukhe… bina mudhe…

Aarav ne diary kholi…

last page par likha tha—

"Main tumhe bhool nahi paayi…

par maine khud ko kho diya tha tumhe paane ke chakkar mein…

ab maine khud ko wapas paa liya hai…

aur iss baar main khud ko dobara nahi khona chahti." ❤️

Aarav wahi khada reh gaya…

aur Riya…

iss baar sach mein aage badh gayi thi।

Ending Line 💫:

Uski chuppi ne usse toda zarur tha…

par uski khamoshi ne hi usse mazboot bana diya.

Aage kya hoga jrur dekhe kya Riya Aarav ko maaf kar payegi janne ke liye

Part- 4 jarur dekhe 👉

More Chapters