Aaj college mein sab kuch normal Tha....par ayaan ka Liya Nahi
Jab woh class mein Aaya usne Dekha Ayera Kisi ladke ke Saath Baat kar rahi Thi
Woh ladka Naya Tha....confident,friendly....aur Ayera Hans rahi Thi
Ayaan ne door se yeh sab Dekha .....aur bina kuch bole apni seat par jaa kar baith Gaya
Dil Mai ajeeb Si feeling Thi...
Usse samajh Nahi aa raha Tha ke usse Kya ho raha ha
Class ke dauran bhi uska dhayan Baar Baar Ayera Ki taraf jaa raha Tha
Aur har Baar voh us ladke ke sath Baat Karte Hua nazar aati
Bell Baji
Ayera Khushi Khushi ayaan ka pass aayi ayaan meet him...yeh Rehan ha Mera school friend
Ayaan na sirf halka Sa hii Kaha
Rehan na smile ka sath hath badhaya
Nice to meet you bro
Ayaan na hath milaya par uska mood Abhi bhi off Tha
Ayera na notice kar liya
Tum theek ho usne poocha
Main bilkul theek hu ayaan ne seedha Jawan Diya
Par uski awaaz Mai thodi thandak Thi
Ayera ko thoda ajeeb Laga shaam Ko jab voh campus ka bench par baithe Ayera na phir poocha ayaan sach batao Kya Hua Hai ayaan ne pehla kuch Nahi Kaha phir dheera Sa bola mughe pasand Nahi aya tumhe uske sath itna close dekh kar
Ayera thodi shocked hui phir halki Si muskurayi
Tumhe Jalan ho rahi ha usne tease Karte Hua poocha
Ayaan na Nazar hata Li
Maybe
Ayera Hans Padi
Pagal voh sirf Mera dost Hai
Phir voh thodi serious ho gayi
Aur tum.....tum special ho
Ayaan na uski taraf Dekha
Dil Ki voh ajeeb se feeling ab clear ho gayi thi
Shayad yeh sirf dosti Nahi Thi
