Cherreads

Ghussa qabu kro!

Ayesha_Siddiqi_0038
7
chs / week
The average realized release rate over the past 30 days is 7 chs / week.
--
NOT RATINGS
70
Views
VIEW MORE

Chapter 1 - Ghussa qabu kro!

"Sidra...ammi bula rahi hain". Sidra ke kaano me earphones hone ke sabab usey apni badi behen ki awaaz nahi sunai di. "Ohoo Sidra, ammi kabse bula rahi hain aur tum sun hi nahi rhi ho bachcha", Samiya ne Sidra k haatho se phone lete hue kaha."Maafi chahti hu, mujhe awaaz hi nahin sunai di", Sidra kamre se nikal gyi. "Apne maa baap ke saath husne sulook Karo...."- Mobile me islamic bayaan ki video chal rahi thi. Saamiya usey sunne lagi. Itne mein to shayad hum apne bado se jhagadne lgte hn ya phir unhein ulta jawaab dekr kehte hain - "Aree nahin sunai Diya" - par Sidra ka jawaab to esa nahin tha. Esa nahin hai ki Sidra ko ghussa nahin aata baat to ye hai ki usne uss ghusse par qaabu rkhkar apni zaban ko control me rakhna sikha hai...Ghusse me nikle alfaaz tufaan ki hawaaon ke simt me chale un teero ke maanind hote hain jo jab kamaan se nikal kar nishaane par lgte hain to sunne wale ke dil aur aabru ko taar taar kar deti hain. Sidra apni ammi ka kaam karte hue wo aayat yaad karti hai jo Surah Surah Aali 'Imran (3:134) mein aayi hai jahan Allah ta'ala ne ghusse ko qaabu me rakhne ka hukm diya hai. Hamaare nabi (peace be upon him) ki ahadith hain jo zubaan ko qaabu me rakhne par zor deti hain. Par insaan sarkash ho jata hai. Usey lagta hai ki kisi ka dil dukha kar wo apni izzat ko buland kar rha hai. Balki wo to apne ego ko feed kar raha hota hai. Sidra ki dadi ne usey kai dafa Huquq ul Ibaad ki ahmiyat ke baare me bataya hai. Jiska hisaab Qayamat wale din dena hoga. Nabi ( peace be upon him ) ki ahaadith me zaban ko qaabu me rkhne ki ahmiyat saaf bayaan hui hai. Sidra apne hall se guzar rahi thi....hall ki lights band thi. Wo use on krne hi wali thi ki usey bed pr bethi wo Sidra yaad aai....