Cherreads

Chapter 1 - Meri zindagi ka sabse anmol pal chapter 2

FIR vahan Koi aaya jiski vajah se ham logon Ne bolna shuru Kiya pahli bar bole to Aisa Laga ki Shayad yahi vo Insan Hai jiski hamen hamesha se talash thi aur aaj hamari talash khatm Hui aur vah jo Insan aaya tha vah Koi aur nahin Meri Hi man thi meri hi Mummy ki vajah se hamen bolna pada kuchh kam tha Aisa jiske liye mamma ne bataya tha ki yah karte Hain hamare yahan aisa hota hai ki jab barat aati Hai tab haldi hathon mein lekar unke kapdon per lagai jaati Hai to maine bhi vahi Kiya Meri mamma Ne mujhse karne ke liye bola to mere Jo men Jijaji the unke Jo unke bhi Jijaji Aaye The unko Maine haldi lagai thi FIR Jo yah mere jija ji ke chachere bhai the jinki yah baat chal rahi hai tab Maine unke haldi lagai aur pahli bar Ham ISI tarah Se bole Maine haldi lagai is vajah se vah bhi bole ki ab Main bhi tumhen matlab tumhare kapde kharab karunga Jo gulab jamun hote hain uska Ras dalkar to Main dar Gai thi maine mummy se kaha ki mamma vah to yah bol rahe hain ki vah gulab jamun ka ras Dal denge to mamma ne kaha ki are are Aisa mat karo vah to rasam thi to Ham log jo pahli bar bole to vah bhi mujhse bolane ke bahane dhundh rahe the aur mujhe to Keval haldi lagana thi aur unhone bolna shuru kar diya FIR Ham ek Sath matlab baithe baat ki aur thoda aise hi batchit nahin hamara number bhi share Ho Gaya number share hokar ho to subah mein vahan se chale Aaye jab barat a gai per main vahi rah Gai thi to Main din mein I wapas vahan Laut kar aate hue main Kho Gai thi jis vajah Se mujhe 1:00 baje a Jana chahie tha lekin Main Ghar pahunchi 3:00 baje jis vajah Se unhone mujhe call kar kar poochha ki kya abhi Suhani Ghar per pahunchi hai to Meri mamma ne bataya ki nahin I hai to vah pareshan ho gaye the lekin ek twist ki baat aur thi ki koi tha Aisa jiski awaaz Meri tarah lagti thi jisne mera phone uthaya tha jab unhone kiya tha to unhin laga ki main baat karna nahin chahti hun aur jhooth bol rahi hun to unhone kaha ki tum jhooth bol rahi ho to usmein bola ki nahin na jhooth nahin bol rahi hu jab suhani a jayegi tab baat karungi tab unhone kaha dekhte hain agar tum jhooth nahin bol rahi ho to meri Jaise hi vah Aaye to baat kara dena aur usne kaha ki theek hai main baat jarur karungi FIR call cut Ho Gai aur Main raste mein khone ki vajah Se Badi pareshan thi

More Chapters