Cherreads

Chapter 1 - Ek tarfa pyaar

Woh 9th ya 10th class ka time tha…

Jab mujhe pehli baar kisi ko dekh kar kuch alag sa feel hua.

Mera naam Riya hai aur yeh meri ek tarfa mohabbat ki kahani hai. Main kabhi kisi ladke se baat nahi karti thi. Mujhe in sab cheezon se door rehna hi sahi lagta tha. Par shayad zindagi ne mere liye kuch aur hi plan kar rakha tha.

Ek din main apni friend ke saath thi. Uske saath ek ladka bhi tha Shivam. Main usse pehli baar dekh rahi thi. Woh thoda door khada tha, par pata nahi kyun meri nazar baar-baar usi par ja rahi thi. Dil ki dhadkan achanak tez ho gayi thi. Main samajh nahi pa rahi thi ki yeh kya hai… par jo bhi tha, bahut naya aur special lag raha tha.

Thodi der baad hum sab saath me baith gaye. Main uske bilkul paas thi. Meri friends mujhe dekh kar muskurane lagi, jaise unhe sab samajh aa gaya ho. Mujhe thodi sharm aa rahi thi, par andar hi andar ek ajeeb si khushi bhi thi. Aur woh kabhi kabhi chupke se mujhe dekh leta tha. Uski nazar me kuch to tha, jo mujhe aur bhi zyada uski taraf khinch raha tha.

Raat ko meri friend ne mujhe message kiya

Shivam tujhse baat karna chahta hai

Yeh sunte hi meri khushi ka koi thikana nahi raha. Shayad pehli baar mujhe kisi ke liye itna excitement feel hua tha. Thodi der baad uska message aaya "Hello".

Maine reply kiya par uske baad main usse baat nahi kar paayi. Mummy ne phone le liya aur mujhe sone ke liye bol diya. Main bas uska message dekhte reh gayi dil me thodi si khushi aur thoda sa regret reh gaya.

Kuch din baad hum phir mile. Is baar hum ek choti si shop par the. Sab log normal baat kar rahe the, par mere liye har choti si baat special thi. Tabhi usne bina kuch kahe mera haath pakda aur mujhe juice pakda diya. Us ek choti si touch ne mere dil me uske liye aur bhi zyada feelings bhar di.

Par phir mujhe ek sach pata chala

Uski already ek girlfriend thi.

Yeh sunte hi jaise sab kuch ruk gaya. Jo feeling main itne dino se samajhne ki koshish kar rahi thi, woh ek hi pal me toot si gayi. Mujhe samajh nahi aa raha tha ki main khush rahun ya khud ko samjhau ki yeh sab galat hai.

Main kabhi usse apni feelings bata hi nahi paayi. Shayad kahin na kahin mujhe pata tha ki yeh pyaar sirf mera hai aur hamesha mera hi rahega.

Thode time baad woh yahan se shift ho gaya. Na uska contact raha, na koi connection. Woh bas ek yaad ban kar reh gaya.

Aaj bhi kabhi kabhi uski yaad aati hai. Main sochti hoon

Kaash usse ek baar bata paati ki main usse kitna pasand karti thi

Par shayad kuch kahaniyan adhuri hi achhi lagti hain

Woh meri zindagi ka pehla ehsaas tha

Jise main kabhi bhool nahi paayi.

Aur shayad woh kabhi jaan bhi nahi paaya.

More Chapters