Raat ka thik 2:13 baja darwajaa par dastak hui.
Thak... Thak....thak...
Aarav ki need khul gyi. Uska kamra andhara ma duba tha .
Khidki band thi. Bhaar thufan tha. Usna mobile uthakar samay dakha -2:13.
Phir vhi aawaj
Thak... Thak... Thak...
Vh akalaa rahta tha. Sahar sa dur ek purana kiraya ka makan. Makan malik na chabi data samya bas itna kha tah,
" Upar wali manjil ko band hi rahana dana. "
Aarav na usa samay haas diya tha.
Aab usa vhi haasi yaad aa rhi thi.
SIDIYO KI AAHAT
Dastak band ho gyi.
Lakin is baar aawaj darwaja sa nhi... Upar sa aai.
Jaisa koi dhira -dhira lakadi ki phars par chal rha hai.
Aarav ka dil taj dharakana laga. Upar to koi rahata hi nhi tha. Upar ka darwaja to bhahar sa band tha.
Usana khud ko samjhya -"purana makan hai... lakdi fhalti - sikudathi rhi hai"...
Tabhi–
Thak... Thak... Thak...
Is baar aawaj uska kamra ka darwaja sa aai.
Vha jad ho gya.
BAND DARWAJA
Himat jutakar vah utha. Kamra ka darwaja dhira–dhira khola bhar koi nhi tha.
Galiyara ma andhara tha. Lakin upar jana wali sidiyo ka pass... Halki –si rosni dhik rhi thi.
Pili. Timtimaati hui.
"Upar to bijali ka connection bhi nhi hai... " Usana budbudaya.
Sidiyo ka pahala paydan par dhul jami thi.
Aur usa dhul par––
Taja pairo ka nisan.
Nanga pair.
Aur va nisan nicha ki taraf aa rha tha.
Uaski taraf .
AAWJ
Aarav picha haat gya.
Tabhi uska bilkul picha sa ek dhimi aawaj aai––
"Tum... upar kyu nhi aaya"?
Uski saas ruk gyi.
Aawaj fusfusahat jaise thi. Tandhi. Bahut paas.
Usana dhira–dhira picha mudakar dakha.
Koi nhi.
Lakin diwar par uski parchyi ka sath ek aur parchyi thi.
Lambi.
Taddi.
Aur uski gardan aasawabhavik rup sa jhuki hui.
SACH
Achanak usa makan malik ki aakhiri baat yaad aai ––
"Upar wali manjil ko band hi rahana dana... Jab tak vah kudh nicha na aa jaya".
Aarav bhagana ka liya darwaja ki oor daauda
Mukhya darwaja band tha.
Andar sa nhi.
Bahar sa.
Tabhi upar sa taj kadamo ki aawaj aai.
Thad... Thad... Thad...
Koi dautha hua nicha aa rha tha.
Har kadam ka saath diwara kaap rhi thi.
Lights timtimana lagi.
Aur phir...
Sab kuch saant aarav na mahsoos kiya ki koi bilkul picha kadha hai.
Bahut karib.
Itna karib ki uski tandi saas uski gardan ko chu rhi thi.
Ek tutui hui, fati– hui aawaj uska kano ma guji–––
"Aab... Tum upar rahoga".
AAGLI SUBHA
Padosiyo na police ko bulaya.
Mukhya darwaja bahar se band tha.
Andar sidiyo ki dhul ma to tharha ka pairo ka nisan tha.
Ek upar wala kamra ka darwaja....
Aab andar sa band tha.
Dhira–dhira.
Bhitar sa.
Thak... Thak... Thak...
