Cherreads

Chapter 9 - 9.pyar ki sabse muskil pariksha.

Us raat ke baad meri zindagi sach mein badal gayi thi.

Phone haath mein tha… par himmat nahi ho rahi thi kisi ko call karne ki। Dil bas ek hi naam le raha tha — Piyush.

Do din beet gaye.

Na uska message aaya… na call.

Har notification pe dil uchhal jaata… par phir disappointment milti.

Main samajh nahi paa rahi thi — kya woh busy hai… ya mujhse door ho raha hai?

Teesre din subah, jab main bilkul toot chuki thi… phone vibrate hua.

Piyush calling…

Mere haath kaanp gaye,Maine turant call uthaya.

"Hello…" meri awaaz dheemi thi.

"Hello…" uski awaaz bhi utni hi thaki hui thi.

"Kaise ho?" maine poocha.

"Kaisa lag raha hoon… tumhe kya lagta hai?" usne halki si kadvi hansi ke saath kaha.

Mera dil dukh gaya.

"Kya hua?" maine ghabra kar poocha..

Thodi der tak woh chup raha… phir bola,

"Ghar pe sab kuch fast ho raha hai… rishta almost fix ho gaya hai।"

Mere kaan sunn ho gaye.

"Matlab…?" maine dheere se poocha.

"Matlab… next month sagai…" usne dheere se kaha..

Jaise kisi ne meri saanson ko rok diya ho,

Aankhon se aansu apne aap girne lage..

"Tumne… mana nahi kiya?" maine toot kar poocha.

"Kiya…" usne turant kaha, "bahut baar kiya… par maa ro rahi thi… papa gussa ho gaye… ghar ka mahaul itna kharab ho gaya ki…"

Woh chup ho gaya.

Main samajh gayi — woh akela lad raha tha… par haar raha tha.

"Mujhe maaf kar do…" usne dheere se kaha।

Mujhe yeh shabd chub gaye..

"Maaf? Kis baat ke liye?" maine thoda strong banne ki koshish ki, "pyaar karna galti hai kya?"

"Nahi…" usne kaha, "galti yeh hai ki main tumhe woh khushi nahi de pa raha jo tum deserve karti ho…"

Main chup ho gayi..

Dil ke andar toofan chal raha tha.

"Ek baat poochu?" maine kaha..

"Haan…"

"Agar main tumhare ghar aa jaun… sabke saamne… aur sach bata doon… toh?"

Woh ekdum shock ho gaya..

"Pagal ho gayi ho kya?" usne tez awaaz mein kaha, "tumhe idea hai kya hoga?"

"Mujhe farq nahi padta!" maine zor se kaha, "mujhe sirf tum chahiye!"

Kuch pal ke liye dono taraf khamoshi chha gayi..

Phir usne bahut dheere se kaha,

"Mujhe farq padta hai… tumhari respect, tumhari life… main tumhe kisi problem mein nahi daal sakta…"

Mera gussa dheere-dheere aansuon mein badal gaya..

"Toh phir main kya karu?" maine ro kar poocha, "tum batao… main kya karu?"

Uske paas koi jawab nahi tha..

Sirf uski saansein sunayi de rahi thi.

Phir usne kaha,

"Ek last try karte hain…"

Maine turant poocha, "Kaise?"

"Main aaj raat papa se final baat karunga…

sab sach bataunga… tumhare baare mein… humare baare mein…"

Mera dil ek baar phir umeed se bhar gaya।

"Sach?" maine poocha,

"Haan…" usne kaha, "ab ya toh sab mil jayega… ya sab khatam ho jayega…"

Maine aankhein band kar li.

"Main wait karungi…" maine dheere se kaha..

Us raat…

Meri zindagi ki sabse lambi raat thi,

Har second bhaari lag raha tha,

Main baar-baar phone dekh rahi thi.

12 baje…

1 baje…

2 baje…

Par koi call nahi,

Aankhon se neend gayab thi,

Bas darr tha… aur dua,

"Bhagwan… bas ek baar… ek baar sab theek kar do…"

Subah ke 4 baje…

Phone vibrate hua.

Maine turant uthaya,

Piyush calling…

"Hello!" maine almost cheekh kar kaha.

Us taraf se awaaz aayi…

Par woh awaaz… toot chuki thi.

"Maine baat kar li…" usne dheere se kaha,

Mera dil zor se dhadakne laga.

"Phir? Kya hua?" maine jaldi se poocha.

Kuch seconds ki khamoshi…

Phir usne kaha,

"Papa ne mana kar diya…"

Meri saansein ruk gayi..

"Maa… unhone bhi kaha ki woh yeh sab accept nahi kar sakti…"

Mere haath se phone girte-girte bacha.

"Maine bahut try kiya…" uski awaaz ro rahi thi, "main toot gaya hoon…"

Mera dil bhi toot gaya..

Ab sach saamne tha..

Yeh ladai… hum haar gaye the..

Main kuch bol nahi pa rahi thi.

Aaj pehli baar… shabdon ne mera saath chhod diya..

Phir usne dheere se kaha,

"Ek last option hai…"

Maine aankhon mein aansu lekar poocha, "Kya?"

"Hum bhaag kar shaadi kar sakte hain…"

Mere andar sab kuch ruk gaya..

Yeh woh moment tha…

Jahan zindagi do raste dikha rahi thi..

Ek — pyaar

Doosra — parivaar

"Mujhe jawab abhi nahi chahiye…" usne kaha, "tum soch lo… main tumhare decision ka wait karunga…"

Call cut ho gaya.

Main akeli baithi thi…

Room mein sannata tha..

Par mere andar awaaz hi awaaz thi.

"Kya main apne parents ko chhod sakti hoon?"

"Kya main itni selfish ho sakti hoon?"

"Ya kya main apne pyaar ko chhod sakti hoon?"

Har sawal mujhe tod raha tha.

Maine apni maa ki tasveer dekhi…

Unki muskaan…

Unka trust…

Meri aankhon se aansu ruk hi nahi rahe the.

"Main unhe kaise tod sakti hoon…?"

Phir Piyush ka chehra yaad aaya…

Uska pyaar…

Uski aankhon ka sach…

"Maine usse kaise chhod doon…?"

Yeh faisla asaan nahi tha.

Par lena zaroori tha..

Subah…

Maine phone uthaya,

Piyush ka number dial kiya..

Call connect hua,

"Hello…" usne dheere se kaha..

Maine gehri saans li,

"Piyush…"

"Haan…"

"Maine decide kar liya hai…"

Uski saansein tez ho gayi..

"Bolo…"

Meri aankhon se aansu beh rahe the…

Par awaaz strong thi.

"Main tumse pyaar karti hoon… bahut karti hoon…"

Woh chup raha..

"Par main apne parents ko chhod nahi sakti…"

Us taraf se bilkul khamoshi..

"Mujhe maaf kar do…" maine ro kar kaha..

Kuch seconds ke baad… usne sirf ek line kahi—

"Tum galat nahi ho…"

Bas..

Yeh sunte hi mera dil aur toot gaya,

"Aur tum bhi nahi…" maine kaha..

Dono ro rahe the… par ek dusre ko strong banne ki koshish kar rahe the..

"Shayad humari kismat mein yahi likha tha…" usne dheere se kaha..

"Mujhe yaad rakhna…" maine kaha,

"Zindagi bhar…" usne jawab diya..

Call cut ho gaya..

Us din…

Maine apna sab kuch kho diya..

Pyaar…

Sapne…

Khud ka ek hissa..

Par saath hi… maine apni family ko bachaya..

Kuch hafton baad…

Mujhe kisi ne bataya…

"Piyush ki sagai ho gayi…"

Maine bas muskurane ki koshish ki.,

Aur andar se… phir toot gayi..

Dosto…

Kabhi-kabhi pyaar jeet kar bhi haar jaata hai.

Aur kabhi haar kar bhi… izzat se jeet jaata hai.

Maine apna pyaar kho diya…

Par apne rishton ko bachaa liya..

Par ek sawaal aaj bhi mere dil mein hai.

👉 Kya sach mein maine sahi decision liya…?

👉 Ya main darr gayi…?

👉 Aur sabse bada sawaal…

Kya kismat hame fir se milayegi....

Kya hamari kahani adhuri rah jayegi...

More Chapters